Wednesday, 17 April 2019

Gairo ki baato par itna aitbaar na laaya kar

Mehaz khyaalo mein ashiyaana na sajaaya kar
Khuch hakikat kar,esha kirdaar nibhaaya kar

Yaad kon rakhta hai aaj kal kisi ko
Jo tujhe yaad rakhe,

Bs usey yaad rakh jaaya kar
usey yaad rakh jaaya kar

Gairo ki baato par itna aitbaar na laa wajid
Dil ki sunn kabhi, phir dimaag lagaaya kar -Wajid Shaikh @wajidsays
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Tumne koshish nahi ki,warna hum saath hotey

Tumne koshish nhi ki yeh aur baat hai
Haarte hai haarne waale lekin

Tum haare yeh alag baat hai
Aagya hoga koi aur haseen zehan mein

Yeh dooriya baadayi,so tere dil ki baat hai
Milna khair muqaddar ki baat thi par koshish

nahi ki tumne wajid,yeh aur baat hai
-Wajid Shaikh // @wajidsays
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved

Tere labho par mera naam

Siraane khwaab ke mere
Koi cehra aa hi jaata hai

Hum janate hai na-mumkin hai
Par khyaal aa hi jaata hai

Sochte hai ke tu sochta hoga
Eshe sochne me pyaar aa hi jaata hai

Kisi shaks se,kisi aziz se khta hoga
Woh jo tha uska naam aa hi jaata hai

Wajid woh aaj bhi sochta hai kya tujhe
Tere khyaal m bhi kesa khyaal aa hi jaata hai
-Wajid Shaikh @wajidsays
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Kya mila door hokar

Kya mila khaamosh rehkar
Bas dooriya badi
Is baat ko hum jaante hai
Koi nhi mere jesa wahaa teri
safo mein is baat ko tum bhi jaante hai
Kya mila dooriya banaakar khush tum bhi nahi mere siwa tera hai kon, yeh tum bhi jaante ho
Hum bhi jaante hai
-Wajid Shaikh @wajidsays
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Dosti ke saath,mohbhaat se bhi gaye

Rehguzar se guzar teh kabhi
Phir is guzar ke dhang se gaye

Baat hoti hai anjaano ki trah
Risto ke zard rung se gaye

Zubaan se tapakta tha sehad
Eshe  hum rung se gaye

Peeta hai lahu,har ek aadmi
Lahu ke rung,surk se gaye

Ajab haalat hai wajid kya khe
Pyar se bhi aur dosti ke dhang se gaye
-Wajid Shaikh (@wajidsays )
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Mehfile apni bhi aabad thi

Khuch tasveere azeez thi
Khuch awaaze khaash thi

Hai ab kaha woh khbar nahi
Yehi dil par nimkash baat thi

Ho gaye vida sabhi apne yunhi
Baari-baari har ek ki baat thi

Hai dil mein khuch soz
Baaki basi hai unki yaad thi

Waqt ke saath, bhichad gaye sabhi
yaar apne waajid
Wagarana apni mehfiley bhi abaad thi
-Wajid Shaikh @wajidsays
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Aaya na tu

Kisi sawaal ki hikmat phir hogi
Kisi jawaab ka jawaab aaega

Rahe isi ummido par hum wajid
Kisi shab phir khwaab aaaega

Aaya na tu, tera khwaab, na paigam
Tu bata ab kese kisi ko sabar aaega
-Wajid Shaikh //wajidsays

#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Filhaal toh saath raho

Is nazdeekiyo ke qatre ko
Majboorio ke samandar mein fana ho jaana hai

Koi dard banega esha apna,usey
bhi hadd se guzar kar dawaa ho jaana hai

Yeh raaz hai,zindagi ka koi farib nahi hai pyaare
Khwaisho ka qatal,hakikat se ho jaana hai

Kyu na kahe wajid,tujhe log shukanwar,aaj dilo mein hai,kal tujhe zinda reh jaana hai
-Wajid Shaikh @wajidsays
#wajidshaikhpoetries
All rights reserved
2019

Gairo ki baato par itna aitbaar na laaya kar

Mehaz khyaalo mein ashiyaana na sajaaya kar Khuch hakikat kar,esha kirdaar nibhaaya kar Yaad kon rakhta hai aaj kal kisi ko Jo tujhe yaad...